Sahara Chahiye Sarkar Zindagi Ke Liye Lyrics in Hindi - Naat | सहारा चाहिए सरकार जिन्दगी के लिए

0
Sahara Chahiye Sarkar Zindagi Ke Liye Lyrics in Hindi


सहारा चाहिए सरकार जिन्दगी के लिए

मेरे आका मदीने बुला लीजिए
मेरे आका मदीने बुला लीजिए


सहारा चाहिए सरकार जिन्दगी के लिए
तड़प रहा हूँ मदीने की हाजरी के लिए


तैबा के जाने वाले जाकर बड़े अदब से
मेरा भी किस्सा-ए-गम कहना शाह-ए-अरब से


कहना कि शाह-ए-आलम, एक रंजो गम का मारा
दोनों जहाँ में जिसका हैं आप ही सहारा


हालात-ए-पूर आलम से इस दम गुज़र रहा है
और काँपते लबों से फरियाद कर रहा है


बार ऐ गुनाह अपना है दोष पर उठाए
कोई नहीं है ऐसा जो पूछने को आए


भटका हुआ मुसाफ़िर मंजिल को ढूँढता है
तारिकियों में माह-ए-कामिल को ढूँढता है


सीने में है अँधेरा, दिल है सियाह खाना
यह है मेरी कहानी सरकार को सुनाना


कहना मेरे नबी से, महरूम हूँ खुशी से
सर पर अब्र-ए-गम है, अश्कों से आँख नम है


पामाल-ए-जिन्दगी हूँ, सरकार उम्मती हूँ
उम्मत के रहनुमा हो, कुछ अर्ज-ए-हाल सुन लो


फरियाद कर रहा हूँ, मैं दिल-फिगार कब से
मेरा भी किस्सा-ए-गम कहना शाह-ए-अरब से
(ads)

हजुर ऐसा कोई इंतेजाम हो जाए
सलाम के लिए हाजिर गुलाम हो जाए


सहारा चाहिए सरकार जिन्दगी के लिए
तड़प रहा हूँ मदीने की हाजरी के लिए



मेरा दिल तड़प रहा है, मेरा जल रहा है सीना
के दवा वही मिलेगी, मुझे ले चलो मदीना


नहीं माल-ओ-जर तो क्या है, मैं गरीब हूँ यही ना
मेरा इश्क मुझको ले चल, तू ही जानिब-ए-मदीना


आका न टूट जाए ये दिल का आबगीना
अबके बरस भी मौला रह जाऊँ मैं कहीं ना


दिल रो रहा हैं जिनका, आँसू छलक रहे हैं
उन आशिकों का सदका बुलवाइए मदीना


मेरे आका मदीने बुला लीजिए
मेरे आका मदीने बुला लीजिए


मदीने जाऊँ, फिर आऊँ, दोबारा फिर जाऊँ
ये जिन्दगी मेरी यूँ ही तमाम हो जाए


सहारा चाहिए सरकार जिन्दगी के लिए
तड़प रहा हूँ मदीने की हाजरी के लिए



ए आजम-ए-मदीना जाकर नबी से कहना
सोज-ए-गम-ए-आलम से अब जल रहा है सीना


कहना कि बढ़ रही है अब दिल की इज़्तिराबी
कदमों से दूर हूँ मैं, किस्मत की है खराबी


कहना कि दिल में मेरे अरमान भरे हुए हैं
कहना कि हसरतों के नश्तर चुभे हुए हैं


है आरजु ये दिल की, मैं भी मदीने जाऊँ
सुल्तान-ए-दो जहाँ को दाग-ए-जिगर दिखाऊँ


काटूँ हजार चक्कर तैबा की हर गली के
यूँ ही गुजार दूँ मैं ऐय्याम जिन्दगी के


फूलों पे जान निसारूँ, काँटों पे दिल को वारूँ
जर्रों को दूँ सलामी, दर की करूँ गुलामी


दीवार-ओ-दर को चूमूँ, चौखट पे सर को रख दूँ
रोजे को देख कर मैं रोता रहूँ बराबर


आलम के दिल में है ये हसरत न जाने कब से
मेरा भी किस्सा-ए-गम कहना शाह-ए-अरब से


सहारा चाहिए सरकार जिन्दगी के लिए
तड़प रहा हूँ मदीने की हाजरी के लिए



एक रोज होगा जाना सरकार की गली में
होगा वही ठिकाना सरकार की गली में


दिल में नबी की यादें, लब पर नबी की नातेँ
जाना तो ऐसे जाना सरकार की गली में


या मुस्तफ़ा खुदारा दो इज़्न हाजरी का
कर लूँ नजारा आकर मैं आप की गली का


एक बार तो दिखा दो रमजान में मदीना
इस बार तो दिखा दो रमजान में मदीना


आका हमें दिखा दो रमजान में मदीना
बेशक बना लो आका मेहमान दो घड़ी का


नसीब वालों में मेरा भी नाम हो जाए
जो जिन्दगी की मदीने में शाम हो जाए


सहारा चाहिए सरकार जिन्दगी के लिए
तड़प रहा हूँ मदीने की हाजरी के लिए

(ads)

Sahara chahiye Sarkar Jindagi Ke Liye Lyrics (Roman English)


Sahara Chahiye Sarkar Zindagi Ke Liye

Mere Aaqa Madine Bula Lijiye
Mere Aaqa Madine Bula Lijiye


Sahara Chahiye Sarkar Zindagi Ke Liye
Tadap Raha Hoon Madine Ki Hazri Ke Liye


Taiba Ke Jaane Wale, Jakar Bade Adab Se
Mera Bhi Qissa E Gham, Kehna Shah E Arab Se


Kehna Ke Shah-e-aalam, Ek Ranjo Ghum Ka Maara
Dono Jahaan Mein Jiska Hain Aap Hi Sahara


Haalaat E Pur Alam Se, Iss Dum Guzar Raha Hai
Or Kaampte Labon Se Fariyaad Kar Raha Hai


Bar ye Gunaah Apna Hai Dosh Par Uthaye
Koi Nahi Hai Esa Jo Puchne Ko Aaye


Bhatka Hua Musafir Manzil Ko Dhoondta Hai
Taarikiyo Ko Maah-e-kaamil Ko Dhoondta Hai


Seene Mein Hai Andhera, Dil Hai Siyaah Khana
Yeh Hai Meri Kahaani Sarkar Ko Sunana


Kehna Mere Nabi Se Mehroom Hu Khushi Se
Sarpar Abr-e-ghum Hai, Ashkon Se Aankh Nam Hai


Paamaal-e-zindgi Hoon, Sarkar Ummati Hoon
Ummat Ke Rehnuma Ho, Kuch Arz-e-haal Sun Lo


Fariyaad Kar Raha Hoon, Main Dil Figaar Kab Se
Mera Bhi Qissa-e-ghum Kehna Shah-e-arab Se
(ads)

Huzoor Aisa Koi Intezam Ho Jaye
Salam Ke Liye Hazir Ghulam Ho Jaye


Sahara Chahiye Sarkar Zindagi Ke Liye
Tadap Raha Hoon Madine Ki Hazri Ke Liye



Mera Dil Tadap Raha Hai, Mera Jal Raha Hai Seena
Ke Dawaa Wahi Milegi, Mujhe Le Chalo Madina


Nahi Maal-o-zar To Kya Hai, Main Garib Hoon Yahi Na
Mera Ishq Mujhko Le Chal, Tu Hi Janib-e-madina


Aaqa Na Toot Jaye, Ye Dil Ka Aabghina
Ab Ke Baras Bhi Maula, Reh Jaoon Main Kahin Na


Dil Ro Raha Hai Jin Ka, Aansoo Chalak Rahe Hain
Un Aashiqon Ka Sadqa Bulwayiye Madina


Mere Aaqa Madine Bula Lijiye
Mere Aaqa Madine Bula Lijiye


Madine Jaaoon Phir Aaoon Dobara Phir Jaaoon
Yeh Zindagi Meri Yunhi Tamaam Ho Jaye


Sahara Chahiye Sarkar Zindagi Ke Liye
Tadap Raha Hoon Madine Ki Hazri Ke Liye



Ae Aazam-e-madina Jaakar Nabi Se Kahna
Soze Gham E Alam Se Ab Jal Raha Hai Seena


Kahna Ki Badh Rahi Hai Ab Dil Ki Iztraabi
Qadmo Se Door Hoon Mein Qismat Ki Hai Kharaabi


Kahna Ki Dil Main Mere Armaan Bhare Huwe Hai
Kahna Ki Hasraton Ke Nashtar Choobe Huwe Hai


Hain Aarzoo Yeh Dil Ki, Mein Bhi Madine Jaoon
Sultan-e-do Jahaan Ko Daagh-e-jigar Dikhaoon


Kaatoon Hazaar Chakkar Taiba Ki Har Gali Ke
Yunhi Guzaar Doon Mein Ayyaam Zindgi Ke


Phoolon Pe Jaan Nisaaroon, Kaanton Pe Dil Ko Waaroon
Zarron Ko Doon Salaami, Dar Ki Karoon Ghulami


Deewar-o-dar Ko Choomoon, Chokhat Pe Sar Ko Rakh Doon
Roze Ko Dekh Kar Main Rota Rahoon Baraabar


Aalam Ke Dil Mein Hai Yeh Hashrat Najaane Kab Se
Mera Bhi Qissa-e-ghum Kahna Shah-e-arab Se


Sahara Chahiye Sarkar Zindagi Ke Liye
Tadap Raha Hoon Madine Ki Hazri Ke Liye



Ek Roz Hoga Jana Sarkar Ki Gali Mein
Hoga Wahi Thikaana Sarkar Ki Gali Mein


Dil Mein Nabi Ki Yaadein, Lab Par Nabi Ki Naatein
Jaana To Aise Jaana Sarkar Ki Gali Mein


Ya Mustafa Khudara Do Izn Haazri Ka
Kar Loon Nazaara Aakar Main Aap Ki Gali Ka


Ek Baar To Dikha Do Ramzan Mein Madina
Iss Baar To Dikha Do Ramzan Mein Madina


Aaqa Hamein Dikha Do Ramzan Mein Madina
Beshak Bana Lo Aaqa Mehman Do Ghadi Ka


Naseeb Walon Mein Mera Bhi Naam Ho Jaye
Jo Zindagi Ki Madine Mein Shaam Ho Jaye


Sahara Chahiye Sarkar Zindagi Ke Liye
Tadap Raha Hoon Madine Ki Hazri Ke Liye,

Post a Comment

0Comments

Please do not enter any spam link in the comment box?

Post a Comment (0)